Dino james unstoppable

 


Song: Unstoppable
Singers: Dino James
Musicians: Bluish Music, Dino James
Lyricists: Dino James

Presenting by digital personal music



Unstoppable, unstoppable..


Life se aa gaya tha woh tangg

Haar ke baj rahe the shankh

Sab kuchh ho gaya tha bhasam

Sab jante the he is done


Sapne yoon huye the dumb

Ki khud pe aati thi sharam

Kash thoda dum dikhaya hota

Maine kam se kam


Hante hain pados aur

Haste hain saare dost

Manata hai afsos


Kismat ko kosse sala roz

Galti nahi thi I suppose

Dad ka hi tha sara dosh

Par asliyat kya thi he knows

Ki kamzor tha woh of course

Aage sab kuchh hai kathin

Time ne diya tha yeh hint

Agar aasan hota to win

Har koyi hota Shahrukh, Sachin

Intezar tha shayad ek din

Aayega Alladin ka koyi Jinn

Kahega jago neend se king


Yeh raha plane mein aapka dream

Woh janta hai woh kar sakta hai

Auron se behtar

Par gir jaane ke dar se

Nahi khol pa raha hai woh par

Kyun dhoondhta hai baahar

Saale koyi bhi answers

Jawab tittar bittar pade

Saare tere hi bheetar


Hai zara sa tujhmein dum toh utha kadam

Bhale na rahe koyi sang

Kaun hai be log yeh jo yeh bolte

That it’s just not possible

Bas itna jaan le ke ab kaam ke hain

Tere aansu aur yeh dard

Unhi se tu chala hai is raste

Aur bana unstoppable


Zindagi mein pressure

Kam nai hoga mere bhai

Bada sapnon ka size to

Bada price aur sacrifice

Mat le tu sabki rai

Koyi nai chahta hai bhalayi

Karta ja left and right

Just don’t wait for perfect time


Jo jungle mein niyam hai

Waisa hi sab aaj bhi

Jo ladega woh badhega janwar ya aadmi

Nazrein ho baaz si aur taaqat ho baagh si

Khata hai maas hi par samay par ghaas bhi


Kaise bhool gaya looser keh kar

Usne kiya tha khatam

Aur chhat se almost

Karne hi tu wala tha na jump

Bohat zyada jaldi nai

Bhar gaye chhote tere zakham

Ya nai hai tujhmein dum

Ya phir bada hi hai tu besharam


Tujhe idea nai kya kar sakta hai

Chhote tera faith

Jab aakh khuli to morning hai

You never ever late

Karta ja tu mistake

Par bharta ja saare page

Saare aansu ka hisab hai

Saale kuchh ni hoga waste


Khud ki ho kadar to

Khud hi ho jaaye gadar

Ab na hoga sabar

Wahan par khudi hai kabar

Aaj karna hai abhi do or die, now or never

Madad saamne khadi hai gadhe

Look into the mirror


Hai zara sa tujhmein dum toh utha kadam

Bhale na rahe koyi sang

Kaun hai be log yeh jo yeh bolte

That it’s just not possible

Bas itna jaan le ke ab kaam ke hain

Tere aansu aur yeh dard

Unhi se tu chala hai is raste

Aur bana unstoppable


Main bechara hoon

Mujhe please dedo na mehngi bike

Main kuchh bhi nai kamata hoon

Will you be my wife


Kisi ko nahi jan-na kitni sad hai teri life

Yahan sirf aur sirf

Result hi bas chalte hain mere bhai

Fark nai hai middle class hai

Ya family gareeb hai

IQ tera weak ya dame ka mareez hai

Its okay moze mein chhed hai

Ya phati hui kameez hai

Tu mota hai ya kala hai

Ya dikhne mein ajeeb hai

Pareshan hai par maa se kehta hai

Maa, yahan pe sab kuchh theek hai

Sab training ka part hai pagle

Sab yeh saali seekh hai

Mat samajhna naseeb hai

Sab temporary takleef hai

Koyi rok nai paayega chhote

Jab tak chhote zinda yeh belief hai


Thoda kam akal hu main par ziddi aajkal hu

Main hi thi samasya

Ab main hi saara hal hu

Haarne mein awwal hu

Tabhi to ab safal hu

Mat karna tum takkalluf

Main ab unstoppable hu


Khad khad sapne khadkaye

Fad Fad dil par fadkaye

Dhoonde kuchh kar jaane ke raste

Baaki baatein sab farzi

Sapnon ki hai khudgarzi

Jeete hain un lamhon ke vaste


Hai zara sa tujhmein dum toh utha kadam

Bhale na rahe koyi sang

Kaun hai be log yeh jo yeh bolte

That it’s just not possible

Bas itna jaan le ke ab kaam ke hain

Tere aansu aur yeh dard

Unhi se tu chala hai is raste

Aur bana unstoppable


Unstoppable..

Post a Comment

0 Comments

Close Menu
https://ankit1230.app.n8n.cloud/webhook/62216a44-112b-4955-a854-5065568e5da3/chat